ji haan main aapko bata dun agar aap money management ko follow nahi karte ho to aap jitne bhi indicators use kar lo jitne bhi premium signals le lo ek na ek din aapka loss hona pakka hai aap agar 2 ya 4 din profit kar bhi lete ho to aap long term mein forex market mein phir bhi reg nahin paoge agar aap money management ko sahi se follow nahin karoge to isliye money management ko follow karna bahut hi jyada jaruri hai aage badhane ke liye aur acche profit banane ke liye aur success hasil karne ke liye agar aap koi bhi trading platform use karte ho to uske liye money management bahut hi jyada jaruri hota Hai for example do log hain person 1 aur person 2 or dono ke pass 100$ hain to jo person 1 hain voh apni ek shop open karta hai aur apna total 100$ usmein invest kar deta hai aur person 2 jo hain voh apne 50$ invest karte hain aur 50$ invest karte hain stock market mein phir kuch time baad jo person 1 hain unhone jis shop mein invest kiya tha 100$ voh chali nahi aur unka pura 100$ loss ho gya aur jo person 2 tha unhone ne jo shop mein 50$ invest kiya tha voh shop chli nhi aur unka loss ho gya aur jo stock market mein 50$ invest kiya tha uss se unhe 60$ ka profit hua to yahi hota hain money management hame sahi tarah se money management ko karna chahiye na ki saare paise ek hi jagah laga dene chahiye