jab hum demo account main trading karte hai tab hum apni strategy se profit earn karne lagte hai aur market main se trading karke profit milta hai tab hum real trading start kar sakte hai.yeh business main market knowledge aur experience hona bahut jaruri hai tabhi hum real trading kar sakte hai. Mujhe andaza hai k main abhi forex trading real account me karne k liye tayyar nahi hoon kyun k main abhi bhi forex trading consistent profit gain nahi kar paata hoon lekin main iske liye kosish bahut karta hoon aur mujhe is baat ka yaqeen bhi hai k main ek din isme acha amount earn kar paonga aur jab main isme regular profit gain karne lagunga tabhi main real me trading karne k kabil samjhonga apne aapko.