trading mein bahoot se signal aate hain jis par hum chahe trading kar sakte hain trading mein waise to bollinger band bahoot hi achcha indicator mana jata hain ek tarah se dekha jaye to moving average ke jaise hi ye indicator hain ismein ek benefit ye hota hain ki ismein upper band aur lower band extra trader ko milta hain jo wo bhi support aur resistance ke uper trading kari jaa sakti hain
main bollinger band ka use karta hu lekin in indicator ka use ka fayda jayda higher time frame par hota hain jisse humko bahoot hi kam chance ye hote hain ki fake signal mile jaydatar to strong aur achchi khasi entry point bade time frame par dekhne ko milta hain dusra jo indicator bataya gaya hain wo stoch wo bhi ek achcha indicator mein ata hain agar hum usko bhi apne trading system mein combined kar dete hain to signal aur bhi strong ho jate hain
hum kabhi bhi akele ek indicators ke sath trading nahi kar sakte hain humko strong entry point lena hota hain aur iske liye hum log alag alag type ke indicator ke sath trading kar sakte hain mein bollinger band ke sath stoch ka use nahi karta hu lekin haa main yaha par RSI ke sath trading karta hu isse meri trading mein signal jo aata hain wo kafi had tak strong ho jata hain main itna nahi darta hu entry point lene par bas humko apne system ke bare mein kafi achchi tarah se maloom hona chahiye unke rules ke sath hi trading karna hota hain