Main apki baat per 100% agree kerta hoon forex trading main koi bhi aisa indicator nahi hain jis per hum full trust kere kyunke market ka kasi ko maloom nahi hota market kabhi bhi kasi bhi time apna trend change ker sakti hai laken kuch indicator tab bhi opposite direction bata rahe hote hai jiski waja se trade ko loss ho jata hai, indicator aur tools market main hamari help jarur krte hai laken 100% accuracy nahi bata sakte hum inki help se market analyse ker ke apni trade open ker sakte hain indicator ko apply kerne se phle hume iska use seekhna hoga kyunke bahut sare trader jinhe indicator use nahi kerne ate aur wo apply ker ke apna loss kerwa lete hain trader ko achi aur badhiya trading ke liye experience hasil krna jaruri hoga fir trader market ko samajh jata hai aur apne andaaze ke sath market main trading krta hai, hum market main jab bhi koi trade open karenge tu hume ispr nazar rakhni hogi hume kasi bhi indicator per depend nahi chahye kyunke indicator kabhi kabhi galat trend bata rahe hote hai main khud moving average aur Bollinger band indicator use kerta hoon laken main ye nahi keh sakta ke main sirf indicator per believe kerta hoon ye indicator kafi had tak theek work kerte hain laken kabhi kabhi market jab trader ko fasane ke liye trap banati hai tab indicator se bhi trend maloom kerna difficult ho jata hai aur kafi trader market ke trap main fans jate hai.