bilkul forex trading main investment kerne ke faida trader ko tabhi hoga jab wo isme acha perform kerenga kyunke forex main bahut jyada log investment kerte hai laken sirf kuch trader hi success hote hain, new trader ko forex trading main investment krne se phle demo account per forex trading ki practice kerna hogi ise tab tak apni practice ko continue rakna hoga jab tak wo isme profitable nahi ho jata, duniya main kuch aise traders bhi hote hain ju bina seekhe forex main direct invest ker dete hain aise traders ko koi faida nahi hota wo ulta apna nuksan kerwa lete hain forex main sabse jaruri knowledge hota hai jiske bina koi bhi trader isme profit hasil nahi ker sakta, trader jitni chahye investment ker sakta hai laken jab tak forex ko learn nahi kerenga isko koi faida nahi hoga kyunke bina seekhe iska account unsafe hoga, forex main trader ko low investment se start lena chahye taki jyada loss na hu isme jyada trader beginners hote hain jinko bahut jyada loss ho jata hai jaise jaise trader ka experience increase hoga trader apna risk badha sakta hai isme investment bhi badi ker sakta hai, forex main loss hona koi badi baat nahi hai isme loss aur profit hota rehta hai duniya main jyada trader ki first investment loss main chali jati hai inko again deposit kerna padta hai, mere ko bhi start main loss howa tha laken main ne isko recover ker liya tha aur fir small lots ke sath trading kerta tha kyunke high risk se hame jyada loss ho sakta hai.