main apki baat se agree kerta hoon gold ki trading kerne ke liye high experience hona bahut jaruri hai iske bina trading kerne bahut risky hota hai duniya main sabse jyada gold per hi trading ki jati hai laken ye itni asan nahi hoti ke her trader is se badhiya profit earn ker sake, forex market main sabse jyada volatile market gold ki market hai ye market kabhi kabhi 300 pips tak ek dum move ker jati hai, nfp news ka gold market pad sabse jyada effect padta hai ager usd strong hota tu gold sell ker jata hai aur ager usd weak ho tu gold buy chala jata hai news time market itni jyada volatile ho jati hai ke kuch hi second main 100 pips tak move ker jati hai, gold market main high volatile per trade kerna bahut jyada risky hota hai is se trader ka account bhi wash ho sakta hai aur kuch trader badhiya profit bhi earn kerte hain, ager trader market ko ache se analyse ker ke trend find ker sakte tu normal days main bhi trader gold se acha profit earn ker sakta hai ager isko market analyse kerna nahi aata tu isko gold se door rehna chahye taki iska account safe rahe, main khud gold trading pasand kerta hoon mere ko isme kafi baar bada loss bhi howa hai lakne isme trading kerna ka maaza alag hota hai hum isme achi entry dekh ker fori profit bhi hasil ker sakte hain, main sara din market watch kerta rehta hoon jab bhi mujhe kasi time frame main koi trend milta hai main tabhi trade open ker deta hoon aur kuch profit ke baad isko close ker deta hoon.