Fores trading main news bahut jyada important hoti hai main apki baat per agree kerta hoon jiski waja se market bahut volatile ho jati hai market ke volatile hone se kuch trader ko badhiya profit bhi hota hai aur kuch isme bhari loss bhi kerwa lete hain, news ke time trading krna trader ke liye bahut risky hota hai isme market kuch hi minutes main 100 pips tak easily move ker jati hai aur jab tak market main news ka impact rehta hai market highly volatile rehti hai news ke time technical analysis work nahi kerte market fundamentally move kerti hai jiski waja se trend find krne ma kafi dekut hoti hai, news per trading krne ke liye trader ke pass fundamental analysis ka knowledge hona bahut jaruri hota hai beginner trader ko news ke time market ko leave ker dena chahye kyunke sirf experience trader hi tab trading ker sakte hain ager beginner trader news time trading kerta hai tu ise bahut jyada loss bhi ho sakta hai experience trader support aur resistance ke hisab se pending order apply kerte hain jab bhi market inko touch kerti hai wo automatic open ho jate hai, forex market main sab se jyada nfp news effect kerti hai jiski waja se all usd pair volatile ho jate hain nfp news per market 300 pips tak move ker jati hai aur isme kabhi kabhi marker buyer aur seller ko trap kerne ke liye dono side move kerti hai aur fir center main ruk jati hai aur aisa ho bhi chuka hai mujhe bhi nfp news ki waja se kafi loss howa tha kyunke mere pass news trading ka experience nahi tha iske baad ab main nfp news per trading nahi kerta iske ilawa mujhe jab bhi entry milti hai main trade open ker deta hoon.