BITCOIN KA $29000 LEVEL HOLD KARENGA? YA BITCOIN CRASH HONGA?
Aaj ke din bitcoin crash ho raha hai aur fir se fall ho raha hai aur abb bitcoin $31000 level ke pass trade ho raha hai lekin bitcoin ka daily chart dekh kar bitcoin kaafi bearish lag raha hai aur abb ye fix lag raha hai ki bitcoin $29000 level ke support ko test karenga. Abb dekhna ye hai ki bitcoin $29000 level hold karta hai aur yaha fir bounce back karta hai aur fir se apna bullish trend continue karta hai ya nahi.
Waise buyers ke liye ye ek sahi level hai buy karne ki kyunki yaha mujhe demand dikh raha hai aur $29000 level par kaafi buyer aayenge market mein jisse bitcoin ki price uper jaa sakti hai.
Lekin agar bitcoin $29000 level break karta hai aur major support aur demand level ko break karta hai toh bitcoin kaafi bearish ho jayenga aur market mein ek panic paida hongi jisse se bitcoin crash ho sakta hai $20000 level tak gir sakta hai. Isiliye abhi kaafi logo ki nazar bitcoin par hongi aur woh sab bitcoin ko abb kaafi closely monitor kar rahe honge.
Toh abb aane waale din bitcoin par kaafi important hai jisse pata chal jayenga ki bitcoin crash honga ya fir bounce back karenga. Aur technicals ke hisaab se bhi bitcoin ko fir se bullish karne ke liye aur wapas buyers ka confidence gain karne ke liye $29000 level ka hold karna bahut zaroori hai.
Toh aap sab logo ko kya lagta hai bitcoin $29000 level hold karenga ya break karenga? Comment kare.