EUR/USD Technical Analysis
main jo technical analysis share karne ja raha hu wo Eurusd ka hain aur jaise ki aap dekh sakte hain pichle kuch
dino se eurusd mein bahoot hi jayda achchi movement dekhne ko mili hain aur bahoot jayda strong trend mein bhi
move hua hain lekin abhi strong support ke baad eurusd mein fir se badlaav dikhai diye hain aur jo price
breakout hua hain wo 1.2100 aur 1.2120 resistance hain abhi bhi ye zone strong trend bullish mein move ho raha
hain aur iske uper agar jo trend raha to ismein achchi movement dikhai dega aur is price level ke uper agar
market ek dum bullish hain..
aap dekh sakte hain ki eurusd ne jo uper trend movement kari hain wo 1.2150 breakout hua hain aur iske niche
maine ek Moving average 50 bhi use kiya hain aap screen shot mein clear dekh sakte hain ki iski jo movement hain
wo uper hain aur lagatar ye pair gain par gain kar raha hain main price ki future movement mein support aur
resistance janne ke liye FIBO bhi draw kiya hain jo ye dikhata hain ki price kitna uper aur niche ho sakta hain
aap dekh sakte hain FIBO 23.6% retrance filhaal mein retracement hua tha aur jo fibo maine draw kiya hain uska
low 1.2091 hain aur iska high 1.2179 hain
aap dekhe is pair mein ek bahoot hi majboot support dikhai de raha hain jo kareeb 1.2135 price hain aur ismein
jo retracement 50% fibo tak kari gayi hain. price movement janne ke liye main trend line ka bhi use kiya hain
jisse price ki movement ke bare mein kafi achchhi tarah se jana ja sakta hain aur dekh sakte hain ki akhir kaar
kya trend chal rahi hain trend line ke madad se ye day trader ke liye dekh sakte hain ek bahoot hi strong
support hain jo 1.2140 hain jo time frame maine H1 use kiya hain, aur moving average SMA 50 ke uper price hain
jo support show kar raha hain agar moving average 50 breakout hota hain niche ki taraf to tab iski agli
movement jo hain wo 1.2120 ke niche ho sakti hain
Agli support jo 1.2100 hain iske niche breakout hone par ye pair 1.2040 test karega jo ek badiya target ho sakta
hain agar breakout down mein fail hota hain to iska agla target jo hain wo 1.2180 hain jo uper ja sakta hain. ek
successful breakout isko achchi bullish trend zone mein move karega aur achche pips gain kiye ja sakta hain.
![]()