Assalam Aalikum!
Eur/usd
Hafte ke aakhir me US aur EU ke bayan bazi me koi tabdili nahin aayi hai. America bafe paimane par muhrik program shuru karne ja raha hai, is tarah market me dollar ki bharmar hai. Is dauran, Europe me, lockdown ko 9_14 February tak badha diya gaya hai. Aisa lagta hai keh woh sirf healthcare situation par tawajjoh markuz kar rahe hain aur muaashi suratehal ko mukammal taur par nazar andaz karte hain. Filhal, yah jodi 1.2160 aur МА 200 ki satah ke darmiyan Н_4 time frame 1.2187 par karobar kar rahi hai. Aisa lagta hai keh flat channel dusre sideways channel me waqe hai.
https://***************/attachment.p...9&d=1611566653
Jahan tak aaj ki baat hai, imkan hai keh quotes mazkura bala hadd me muntaqil hogi. Halankeh, uptrend ghalib hona chahiye, aur qimat H4 time frame par buland satah ko tod sakti hai. Mujhe lagta hai keh bulls 1.2220 ki muzahmati ilaqe tak qimat badha sakti hai. Lekin yah bhi mumkin hai keh yah H1 time frame 1.2136 par MA 200 tak gir jaye. Breakout ki surat me, qimat mutabadil scenario me ascending trendline ka test kar sakti hai.
https://***************/attachment.p...0&d=1611566705