Doston AAj humari two wheeler market ek bhut badi market hai aur har roz isme pure desh mein kayi hazaar bikes roz add hoti hai aur bikti hain .
In mein HERO HONDA , engine performance aur reliability k hisaab sey Honda company ki bikes best hain ye acha mileage cover bhi deti hai aur long routes pey kafi achey sey chalti hay company ki after sale service bhi achi hai aur agar aap bike ko sale out karna chaho to aap ko achi value milti hai and Comfort ki baat ki jaye to apko main Hero Honda he suggest karon ga agar apko achi service ki bike chhaiye to apko Hero Honda he choose karni chahiye yeh eak best bike hai i think apko sochay baghair he is ko done kar dena chahiye. , APACHE ye top ki companies hain aur isme se hero honda aur bajaj ki bikes sabse zyada bikti hain .
Meri bikes mein knowledge zara kam hai lekin fir bhi mujhe HERO HONDA ki bikes zyada achi lagti hain .
(1) MILEAGE
(2) COMFORT
(3) PRICE
yE 3 FACTORS KE hissab se discuss karen aur jinke paas apni personal bikes hain wo yahan par uski kami aur khoobi dono discuss karen jis se padne waale ko pata chale ki kaun si company ki bike BEST hai .
Yahan par discuss karen ..Meine Hero ki ye waali bike Deluxe chalayi hui hai aur sabse badiya baat meine ise delhi Meerut highway par chalaya tha . Iski pick up ghazab ki hai aur saath mein ye bike silent bhi hai . Sabse badi baat ye hai ki iska average ghazab ka hai aur ye kareeb 60 - 70 kms / ltr ka average deti hai aur agar dhayan se dekha jaaye aur petrol ki keematon ko dekhte hue to ye kehna padega ki ye sabse achi average hai .
HERO ke dusre models bhi meine chalaye hain jaise ki SPLENDOUR aur ye bhi ghazab ka hai aur iski average aur comfort level bhi ache hain.
HERo ki bikes ki keemat bhi bhut achi hai aur sabsi achi baat ye hai ki Medium class ke logon ke liye HERO ki bikes affordable bhi hain aur isiliye pure desh mein ye sabse zyada bikti hain ..