ji aisa to hain ki trading mein head and shoulder jo pattern hote hain wo kafi jayda use hote hain kafi jayda strong trading strategy isko bola ja sakta hain main bhi iska kafi baar use karta hu lekin alag alag time frame par is pattern ko dekha ja sakta hain iska sabse jayda benefit higher time frame par hota hain jo achche pips ke liye aur long term trading ke liye kafi jayda faydemand hote hain
iske sath sath trader ko aur bhi tools ka use karna hota hain jiske sath trading mein uska benefit aur bhi adhik ho sakta hain jaise ki trend line ye bhi trading mein support aur resistance ke liye kafi jayda use hota hain ismein bhi trader ye jaan sakta hain ki usko trading kaha par karna hain aur kaha par wo kafi sahi entry ke sath sath exit bhi le sakta hain ye bhi alag alag time frame par hi banta hain
aur ek benefit ye bhi hota hain ki indicators ko milakar ke trading kiya ja sakta hain har ek trading ka alag alag fayda hota hain aur wo kaam bhi karta hain main yaha par in sabhi cheezo ke sath chalta hu jo maine mention kiya hain trading mein fayda hota hain meri trading ke liye kafi baar aisa hota hain in sab tools ka use ke baad bhi galat entry daal deta hu aur mere ko waha par tab ek bada nuksan bhi hota hain ye trader ko dekhna hota hain ki wo kaise trading karta hain