hanji head and shoulder duniya main sabse jyada use hone wale reversal strategy hai kyunke isme market hamesha previous point ko retest kerne ke baad aage move kerti hai is pattern ko profit earn kerna easy hota hai laken sabhi trader ko aisa mouka nahi milta, head and soulder strategy kasi bhi time frame main ban sakti hai isme jaruri nahi hai ke ye sirf H1 ya H4 time frame main bane kabhi kabhi D1 main bhi ye pattern ban raha hota hai isme trader ko sirf retest ka wait kerna padta hai aur jaise hi market point ko touch kerti hai ise fori trade open ker deni chahye iski help se trader badhiya profit earn ker sakta hai, head and shoulder strategy main thoda risk bhi hota hai kyunke kabhi kabhi market retest per ruk jati hai aur trader retest samajh ker trade open ker dete hain aur market pattern break ker deti hai jiski waja se trader ko bhari loss hota hai, is liye jaruri hota hai ke trader ko wait kerna chahye ise jab tak confirm na hu ke market retest ker rahi hai tab tak ise trade nahi kerni chahye is strategy ko easy banane ke liye trader ko moving average indicator ko use kerna hoga uski madad se pattern samajhana aur easy ho jaenga, iske sath sath trader ko support aur resistance level ka dehan rakhna hoga kyunke market jab bhi support aur resistance level ko break kerti hai tu new support aur resistance level banati hai tab tak market ke wapis aane ke chances bahut kam hote hain.