ji dost ye to haiga ki aisa karna galat to hota hain lekin isko hedging trading kaha jata hain aur aisi trading sabhi ke liye galat nahi hoti hain wohi log ismein galat karte hain jinko trading karna nahi ata hain jinke iske bare mein jaankari nahi hoti hain agar kisi ko hedging trading karna hain to pahle iske bare mein knowledge lekar ke aye taki wo trading hedging badiya kar sakte hain hedging mein agar sahi tarah se trade karte hain to risk to jayda hota hain lekin ye bahoot hi jayda profitable bhi hota hain maine pahle kiya tha hedging lekin jayda gap mein agar dono order mein ho to ye bhi trader ke liye bahoot jayda problem create karti hain ek hi jagah par buy aur ek hi jagah par sell instantly order open hona chahiye to tab trader ko exit bahoot hi achchi tarah se dekhkar karna hota hain trend ke sath exit order le sakta hain agar sahi order sahi time par trader band karta hain to uske dusre order mein bahoot hi badiya profits ata hain aur jo bhi loss hota hain wo asani ke sath recover kiya ja sakta hain hedging trading jitna easy dikhai deta hain asal mein waisa hota nahi hain isko kar pane ke liye bahot hi badiya experience chahiye hota hain waise to main ye trading pasand nahi karta hu main to apne liye scalping karna jayda pasand karta hu jisko karke bahoot hi achcha profits kamaya ja sakta hain