Originally Posted by
santuku
Correct, agar sahi knowledge aur patience ke saath ye forex trading ka kaam kiya jae toh hum iske bahut benefis utha sakte hain. Lekin forex sirf unhi logon ke liye hai jo lifetime profit kamana chahte hain, apna career banana chahte hain aur jo log forex mein bahut kuch seekhna chahte hain par jo gambling ke purpose se forex mein aate hain ye unke liye bilkul nahi hai. Forex karne k liye apko particular koi software ki jarurat nahi hai, aap simply apne phone se, laptop se bhi kar sakte hain, apko kuch khas investment karne ki zarurat nahi hai aur na iss business ko start karne k liye aapko loan ki jarurat hai. Apko iske liye koi heavy capital ki need nahi hai aap chhote amount se bhi start kar sakte hain. Lekin forex start karne se pehle apko iski thodi study karni chahiye aajkal internet par sab kuch mil jaega iske bare me padhne ke liye. Shuruaat mein jab bhi aap trade karein toh dhyaan rakhein k chhote chhote trade karein warna beginning me hi apko bada nuksan hogya toh apka confidence level khatm ho jaega ya toh starting mein aap ek dummy account mein trading karke practice kar skte hain wo best option hai. Agar koi man lagakar ye kaam kar le at least 2 mahine bhi toh use samajh aa jaega ke forex trading mein kitna accha future hai. Jitna aap apni pure mahine ki salary se kama rahe ho usse jada aap ek din me kama sakte ho agar apko acchi knowledge hai forex trading ki