ji haan trading ko karne ke liye aapke pass ek sahi strategy hona bohot zaroori hai aur money management hona bhi bohot zaroori hai aur decipline toh hona hi chahiye kisi bhi kaam ko karne ke liye lakin sabse zyda importance hum kis ko de strategy ko de money management ko de ya decipline ko dein ab strategy hoti kya hai ki jis chiz ke upper aap kaam karte ho aap kisi file per kaam karte hai aap kisi topic pr kaam karte hai toh aap uske liye ek strategy bnate hai ki iss file ko aur accha kaise bnaya jaye aur usmein aur kitna time diya jaye aur kisi topic per jab aap kaam karte toh aap yeh sochte hai iss topic aur detail mein kaise btaya jaye aur iss pr bhi itna time diya jaye agar aap ek acchi strategy nahi bna paate hai toh aap money management kar ke kya karenge decipline karke kya karenge toh kehne ka matlab kya hai ki ek acchi strategy hona bohot zaroori hai aur ab money management kya hota hai jaise ki aap 2 lakh rupees lekr market mein aye ho toh aapko uss 2 lakh rupees ko kaise istmaal karna hai kya voh 2 lakh rupees main ek hi market mein laga dun ya phr uss 2 lakh rupees ko main alag alag jahan laga dun jaise ki maine 50,000 market mein laga diye baaki ke 50,000 gold mein baaki 50,000 trading mein invest kr dun toh iss tarah se jo hai money management hota hai jaise agar maine 2 lakh ek hi jagah lagai hai aur ussi waqt mein loss ho jata hai toh uss se toh mujhe kuch bhi profit nahi ayega mere saare 2 lakh rupees ek baar baar mein chale jayenge aur agar main voh 2 lakh alag alag jagah laga dun jaisa ki maine apko btaya tha agar mujhe market 50,000 rupees ka loss hota toh toh kya pta mujhe gold mein 5000 rupees ka profit ho jaye toh yeh hoti hai ek acchi strategy ab decipline kya hota hai kaeda kanoon toh decipline kya hai sahi strategy ka sahi tarah se istmaal karna yahi ek decipline hai toh decipline hona bhi bohot zaroori hai ek trader ke liye