yeh tou har trader ki apni marzi hai ke woh kitna paisa lagai. aap sirf $0.50 se bhi shru kar skte ho. haan yeh baat alag hai ke jitna ziyada pesa aap lagao ge utna ziyada faida aap ko mile ga. agar aap ke pass experience nahin hai tou yeh behtar hai ke aap kam pese lagao ta ke agar aap ka loss ho tou aap ko ziyada afsos na ho aur koi bara loss ho jaye tou aap ko boht takleef hoti hai is liye pesa hamesha soch samajh kar lagana chahiye.