Originally Posted by
Fatima12
Ap ne ye baat bilkul sai kahi ke agr hum ne jitni bi baar apna account udaya ha tu ye koi ordinary baat ni ha, hume es baat pr jyada dehan dena ho ga ke kis wajah se humara account wash howa ha ya uda ha. Balke agr aik bar humara account udha ha tu hume agli bar apni es ghalti ko correct karna ho ga jis ki wajah se humara account udha tha. Jab hum apni us mistake ko correct kar le gai tu humara account agli bar kabhi bi ni uday ga.Beginers se agr account udah jai tu start me tu usse sab se phle apni ghalti sai karni ho gi. Jab wo start me hi apni ghalti sai kar le ga to agay ja kar usse loss ni uthana pade ga. Balke wo profit earn karne me safal ho ga.