sab say bara reason jo loss ka hay wo ye hi hay kay hum ko proper leanring ki environment nae milti aur hum foran kamae ki taraf dehaan dayna start ker daytay hain.
Printable View
sab say bara reason jo loss ka hay wo ye hi hay kay hum ko proper leanring ki environment nae milti aur hum foran kamae ki taraf dehaan dayna start ker daytay hain.
aesa ho sakta hay kay aksaar traders kafi mehnat ker kay apni strategy banatay hain, iss liay wo phir apni strategy kisi say share kerna pasand nae kertay. laykin jin ko start may guidance achi mil jati hay wo share bhi ker daytay hain.
easy method to ye hay kay aap apni trading ka aik plan banaeen aur wo apnay trading computer kay pass step wise likh lain, phir her time trading may oss ko follow karian.
aykin yehi to masla hay kay koi kaisay jaan sakta hay kay oss ki her entry profit may hi jaeygi. forex to prediction business hay, iss liay uncertainty may risk bhi kam layna chaheay.
age per bhi depend kerta hay. forex trading kernay kay liay aik sharp mind chaheay aur kam umer may mind itna sharp nae hota. iss liay aik trader ko mature hona lazmi hay. nae to wo emotions may aa ker ziada nuqsaan ker sakta hay.
aap nay sahi kaha, forex trading end honay wali cheez nae hay. pata nae hum aesa keuun soochtay hain. dunya may baqi bhi to karoobaar chal rahay hain jab wo end nae ho saktay to forex kiss tarah end hogi.
mjhe forex trading iss liay pasand hay keuun kay may iss ko apnay ghar bayth ker easily ker sakta hoon. iss may kaheen office nae jana perta aur na hi koi boss hota hay jo hum per hukam chalaey.
forex may kya kisi bhi kaam may bari kamiyaabi hasil kernay kay liay hum ko bari mehtnat kerni paraygi. bagair mehnat kay hum ko kuch bhi nae milta. iss liay agar aap forex may guru ban na chahtay hain to phir bhohot sara hard work karain.
forex may jitni bhi practice ki jaey to kam hay. aik expert trader bhi practice mood may hi hota hay. hum ko bhi ye nae soochna chaheay kay hum trading may sab kuch seekh saktay hain.
day trading kay liay 15 minutes say 1 hour time frame use kia jaa sakta hay. iss may ye khayaal rakhna chaheay kay hum longer time frame per bhi dihaan dain taa kay hum trend kay saah trading ker sakain.