main apki baat se agree kerta hoon trader ko hamesha stop loss ke sath kaam krna chahye is se trader ko account safe rahenga isko jyada loss nahi hoga, stop loss lagane se trader ki trade automatic loss main close ho jaengi aur trader ye loss baad main recover bhi ker sakta hai, laken ager trader bina stop loss se trading kerta hai tu iska account wash bhi ho sakta hai jiska new deposit ke ilawa koi bhi solution nahi hai, forex main loss aur profit dono hote rehte hain trader ko ye bilkul nahi samjana chahye ke wo sirf forex se profit hi earn kerenga isko kabhi kabhi loss bhi accept kerna padta hai is liye isko apni her trade main stop loss lajmi use kerna chahye, loss bhi forex ka part hota hai laken hum isme mehnat ker ke loss ko profit main change ker sakte hain kuch trade apni trade ko jyada loss main dekh ker hedging ker lete hain hedging main inki dono side ki trade fans jati hai inko loss ruk jata hai laken inke liye hedging se nikalna main bahut dekut ka samna kerna padta hai, hedging kerna her trader ke bas ki baat nahi hoti sirf experience trader hi hedging ker sakte hain aur is se nikal sakte hain warna unexperience trader dono side ki trade se loss kerwa lete hain, hedging krne se phle trade ko ache se market ko analyse kerna padta hai aur farward movement ko dekhna padta hai fir is hisab se trade kerna padti hai laken unexperience trade apni trade loss main dekh ker opposite direction main trade open ker dete hain aur bure tarike se isme fans jate hain.