agar aap trading karne ke liye koi broker choose karte ho to sab se pahle os broker mein aap ne jo dekhna hota hai wo os broker ki leverage dekhni hoti hai ke wo leverage kitni provide kar raha hai aur us ke bad aap jis currency pair mein trading karna chahte ho os ka spread dekhte Ho kyun ke spread jitna kam ho ga utni jaldi aap ki trade profit mein aa sakti hai aur ziada loss may start be nahin ho gi kuch broker bahut acche bonus hamen provide karte hain lekin kuch broker hamen Koi bonus deposit per provide nahin karte es ke alawa brokers ki support ko dekha jata hai ki wo aap ko kitni support karti hai agar aap kisi problem mein aa jaate Ho aur sab se important part broker mein deposit or withdrawal ke options dekhe jaate Hain aur withdrawal kitne time mein aap ko milta hai aur deposite kitne time mein ho jata hai ya sab chizen dekhte howe kisi broker mein ham log work karte Hain