Stop loss hamari her trade ke leye jaruri hota hai trader beshak ek trade open kere ya ek se jyada ise apni her trade main stop loss use kerna chahye stop loss se trader ka account safe rehta hai, trader ko market main trade open kerne se phle ache se analyse ker lena chahye ise market trend dekh ke trade kerni chahye laken kabhi kabhi market fake break out bhi banati hain jisme kafi traders fans jate hain aur kuch ke account bhi wash ho jate hain isi waja se trader ko apni trade mai stop loss jarur use kerna chahye iske bina account unsafe rehta hai, trailing stop bhi stop loss ki tarah hota hai trader ise jyada tab use kerte hain jab market tezi se ek direction main move kerti hai aur trader kuch points per trailing stop laga dete hain ager market return bhi jati hai tu kuch wapis jane ke baad automatic inki trade profit main close ho jati hai, market main news time aisa dekhne ko milta hai market apne point ko retest kerne ke baad tezi se ek direction main movement deti hai tab trader ke leye trade kerna bhi risky hota hain laken risk management ke hisba se trader acha profit earn ker sakta hai, ju trader stop loss aur trailing stop use nahi kerte inko bohut loss ho sakta hai aur kabhi kabhi traders ki kuch trades bohut galat fans jati hai ju kabhi nikal nahi pati aur trader ko loss uthana padta hai.