Ji dost aapki baat to theek hain lekin aapko ye samjhana ki trading ka jo business hain wo bahoot jayda risky hain aur ismein trader ko loss hote hi hain loss aisa koi trader nahi hain jo naa kare lekin ye bhi sachai hain ki loss galti se hota hain koi nahi chahta hain trading mein loss kar baithe agar koi bhi tarah ki galti koi karta hain aur usko trading mein loss hota hain to uske liye ye sabse pahle jaroori hota hain ki wo apni galti ko dekhe aur jo bhi galti ke wajah se loss hote hain usko theek kare bahoot se trader trading mein loss is wajah se bhi kar dete hain kyunki wo lalach jayda kar dalte hain trading mein pahle to ye yaad rakhe kabhi bhi lalach nahi karna hota hain thoda aur profits mile is lalach mein bahoot se trader wo bhi profits ko nuksaan kar dalte hain jo usko profits mil raha hota hain khud mere sath aisa bahoot baar hua hain lekin ye bhi ek sabak hota hain trader ko apne trades mein kam se kam loss karna hain to pahle trades mein profits ko accept karna hota hain aise apni bahoot si trade ko sahi time par exit kiya ja sakta hain aur wohi trade mein usko loss se bhi bachta hain aur baaki rahi baat dusri to jo bhi trading mein galtiya hoti hain wo sab theek karna chahiye apni kamiyo ko pahchana chahiye agar hum ek hi galti baar baar karenge to trading mein kamana bahoot jayda mushkil hoga is tarah ki trading se kamana mushkil hi rahta hain trading mein jab koi perfect ho jata hain to usko achi tarah se maloom hone lag jata hain ki kaise trading karna hain aur kaisi trading se usko avoid karna hain tohi usko trading mein achche achche profits hote hain aur apne loss wali trades se bach pate hain lekin ye bhi jarori nahi hota hain ki sabhi trades ko wo filter kar paye loss wali kyon si trade hain kabhi na kabhi to koi na koi trades mein usko nuksaan hota hi hain ye sab kamiyo ko trader ko dekhna bahoot jayda jaroori hota hain loss is business ka part hain jo hota hi hain bas khud ki trades mein sudhaar lana padta hain