Apne sahi kaha trader ko phle cent account bana kr isme deposit kr ke kaam start krna hoga wo bhi ek real account hi hota laken isme loss aur profit cent main hota hai bahut hi kam loss hota hai, isme her cheez bilkul standard account ki tarah hoti hai laken iski lots is se bahut kam hoti hai trader ko cent account se bhi phle demo account open kr ke ispr trading ki practice krna hogi is se trader ka experience bhi increase hoga, demo account trade ki practice ke liye hi hota hai jaha trader trading ko seekhta hai isme trader ka koi loss nahi hota isme trader ko kuch bhi deposit nahi krna padta aur na hi ye investment real hoti hai is se market per bhi koi effect nahi padta, isme investment suppose hoti hai ju trader ko trading sikhane ke liye de jati hai aur her forex broker demo account ka option deta hai taki her trader apni marzi bke hisab se capital choose ker ke real trading seekh sake, demo account se trader apna profit bhi withdraw nahi krwa sakta laken jab wo demo account main profitable ho jae tu real account open kr ke is se profit withdraw krwa sakta hai isme profit ki koi limit nahi hai laken cent account main profit cent main hota hai ju usd main bahut kam passy bante hain laken jaise jaise trader ka experience increase hoga trader apna account cent se stranded ma convert kr sakta hai.