haanji forex market main gold trading ko sabse jyada risky mana jata hai ku ke isme market high volatile hoti hai aur duniya main sabse jyada gold per hi trading ki jati hai, gold per trading kerne ke liye trader ke pass badhiya experience hona jaruri hota hai unexperience trader ke liye gold per trade kerna bahut risky ho sakta hai, gold market kabhi kabhi one side trend main 300 pips tak move ker jati hai ju bahut badi movement hoti isme kafi traders ko bahut jayda loss bhi ho jata hai aur kuch trader ko profit hota hai,
beginner trader ko gold trading se door rehna chahye isko phle currency pair per apni trading start krna hogi fir jaise jaise iska experience increase hoga tab wo isme trading ker sakenga iske ilawa news bhi gold market per bahut jyada effect kerti hai, tab market main trade krna account ko unsafe ker sakta hai ager trade tab trade krna chahta hai tu isko small lots ke sath stop loss jarur lagana chahye, ager market uski trade ke against chali jati hai tu isko jyada loss nahi hoga aur wo loss baad main easily recover bhi ker sakta hai, trader ke liye trend find kerna hi sabse mushkil kaam hota hai aur gold market main trend find krna bahut difficult hota hai ku ke market apna trend change kerti rehti hai, trader ko market ke pattern ke sath sath analyse kerte rehtna chahye tabhi isko achi entry mil sakti hai jis se wo profit earn ker sakta hai.