Jaise ki aap dekh rahe hai Gbp/jpy 141.25 ke aas pass hi ghum raha hai, lekin yaha par jo MACD Divergence indicator aisa dikha raha hai ki 141.25 se 50 se Market ka trend up ho sakta hai aur price ki predict ye hai ki ye 142.90 tak market ja sakta hai, uper kafi strong resistance hai jidher se market fir se reversal ho sakta hai.
Jaise ki aap Screen shot mein dekh sakte hai ki Market reversal ke pure chance hai to main khud abhi is par Buy ke liye wait kar raha hoon, agar market thoda aur down hota hai to niche se isko Buy kiya ja sakta hai aur ek badiya targets ko achieve kiya ja sakta hai.
Aap jaise ki dekh sakte hai screen shot, Daily time frame ka technical analysis hai, jo ek long term trader ke liye important time frame hai, abhi humare liye is par order lene ke liye thoda wait karna hoga, support aur resistance ke beech mein market hai, humare breakout ka wait karna hoga agar niche breakout karta hai to iska down trend shuru hoga, lekin mere hisaab se abhi down jana mushkil hai to ismein abhi buy ki opportunity hai to iske liye wait karna hoga.
Gbp/usd already kafi up ho chuka hai lekin is pair par abhi bhi yehi predict kiya ja raha hai ki iska trend Up hoga, lekin abhi thoda wait karna sahi rahega Support aur resistance ke beech mein market hai to ek taraf breakout ka wait karna hoga.
Hello Ye Usd/jpy ka analysis hai jismein filhaal kafi up ki aur market move kar raha hai, lekin aisa predict kiya ja raha hai ki abhi is pair ka trend wapas mein down ki aur hoga to iske liye abhi wait kare aur trend clear par hi order le.
Usd/jpy ek strong Resistance point par khada hua hai aap screen mein analysis ko dekh sakte hai waise to ek baar down retracement ke baad mein fir se high ko test kare to down par hum fir buy kar sakte hai.